Happy Independence Day
---------------
Doston Ham aaj yahan par 15 August aur Raksha Bandhan ki wishing script banana sikhe ayenge. Yadi aap script banana Nahi Jante tab bhi aap apne blog par ya Jahan se aapne hosting Li Hai wahan par is script ko laga kar wishing script create kar sakte hain. Aur yadi aapke paas adsence ka account hai to AdSense ka add Laga kar achha khasa revenue prapt kar sakte hain.
Chaliye doston Shuru
Karte Hain.
Sabse pahle aapko main
bata dun ki yah script ek hi form mein hai. Is script ko aap Chahe to blog main
lagayein ya aap hosting liye hain to wahan par bhi ise laga sakte hain. To pahle
aapko Hum is script ko blog par lagana sikhenge.
Sabse pahle a aapko blogger ke liye Jo script hai use
download karna hai download karne ke liye niche diye gaye link par click karen
DOWNLOAD HERE
Download karne ke bad
is file ko extract karen. Ismein HTML ki file ko Notepad par open karke Iske
code ko copy kar le. Copy karne ke bad apne blogger ko open karen. Blogger mein
aapko theme par jana hai. Theme mein jane ke bad theme me sabse neeche aapko
Revert to classic theme ka option milega wahan par click Karen. Iske baad yahan
par aapko do option milege yek view karne ka aur dusra edit karne ka. Edit
karne wala option pehla hoga. Uspar click karen. Yahan par aapko code ki ek
window dikhai degi yahan par copy kiye gaye code ko paste karna hai. Aur uske
baad save kar de. Save karne ke bad jahan par code khatam hota hai upar ki
taraf aap ko Navbar ka option milega. Usko off kar de aur iske bad aap ki theme ready hai. Ab aap a ko do jagah par
code badalna hai. Jahan par humne apne blog ka address dala hai hi usko change
karke apne blog ka address dal denge. Aur Iske bad aap apni script ko apne
dosto ke sath share kar sakte hain niche diye gaye images se aap madad le sakte
hain.
Yadi Aapne a hosting Le
rakhi hai to hosting main aap sabse pahle cpannel mein jakar public_ HTML main
apni zip file ko extract karke save kar de. Zip file ko download karne ke liye
niche diye gaye link par click karen. File ko save karne ke bad is main index
file ko aap search karen. Index file par click karke is file ko edit karna hai.
Jahan par humne apni site ka naam de rakha hai wahan par aap ko apne site ka
naam dena hai aur aapki script share hone ke liye ready hai. Aur is main yadi
aap add lagana chahte hain to add laga sakte hain. Add lagane ke liye code mein
mention kiya gaya hai
Address change karne ke liye
Adhik jankari ke liye yah video dekhen.
0 Comments